Saturday 22 December 2012

Teri Khubsurti py Qurbaan

Teri Khubsurti py Qurbaan main..meri Jaan-e-Jaan...,
Qareeb Aa tujhay daikh lon...kisi shaam...baam-e-wasl-e-ehtmam..!!!

Badla kahan hai

Badla kahan hai ab bhi wafa ka nisaab dost...,
Kuch wo bhi heela jo hai tou kuch hum b naram khu..!!!

Iss ka andaza

Iss ka andaza mujhay hijr ki talkhi se hua...,
Tishnagi ooj py aa jaye tou kya lagta hai..!!!

Kuch dil b lag gaya tha

Kuch tou Sitam zareefi halaat thi ajeeb...,
Kuch dil b lag gaya tha gham-e-roozgar mein..!!!

Rehnay Do

Hum aah-o-fughan k aadi hain tum darkaar darmaan rehnay do...,
Hum chaak-e-geereban achay hain..bas chak-e-geereban rehnay do...,
Ek baat k dil se hat jaye ........... yeh raat k ab tou kat jaye..,
Aahon ko samaitay baithay hain masroof ghazal khawab rehnay do..,
Hain sab ka manatay sog yahan...hain kesay kesay log yahan...,
Haan in ko sukon se kya matlab..haan in ko pareshan rehnay do...,
Ek shor-o-gha hai basti mein...ek hashar bapa hai basti mein...,
Ab sham-e-ghareeban ghar ghar hai...tum shaam-e-ghareeban rehnay do...,
Waqt ka daman tham liya hai aqal se ab k kaam liya hai...,
Hai unn ko ta'ajub honay do...Angasht-ba-dandaan rehnay do...,
Ab saachi baatain kon likhay...yaan kesay kesay log bikay...,
Be'kar hai zikar-e-dar-o-san...yeh qissa-e-zindaan rehnay do...,
Yeh dard kahanai rehnay do...ashkon ki zubaani rehnay do...,
Mat behnay do in ashkon ko...yeh zeenat-e-massgaan rehnay do..!!!

Dard k sehra

Ranj-o-Gham ki dhoop thi aur door tak saya na tha...,
Dard k sehra mein koye Raahraw paida na tha...,
Gham ki peeli dhoop ne uss  ki latafat cheen li...,
Meray jazbon ka shajar warna kabhi peela na tha...,
Daastan-e-ishq ki baatain adhoori reh gayen...,
Daftar dil ka meray koye warq sada na tha...,
Lasha be-sar...Khandar aur ek bhayank teergi...,
Iss tarah ka khawab pehlay tou kabhi dekha na tha..,
Hr qadam per muntazir theen maslon ki sooliyaan...,
Hr qadam per imtehaan hoga kabhi soocha na tha..,
Khawab ki dunya se akhr loot'ta main kis tarah...,
Manzron k darmyan tou koye darwaza na tha...,
Mujh ko Raahi waqt ne iss wajah se loota nahin..,
Dard ki dolat thi koye aur sarmaya na tha...!!!!!!

Sheikh se kuch hai

Sheikh se kuch hai na bada'khawar se...,
Wasta hai sirf zikar-e-yaar se...,
Admeyaat ka taqaza hai yehi...,
Dushman-e-jaan se b milye pyaar se..,
Jab b chaho azma lo tum ba'shauq...,
Khauf hum khatay nahin hain waar se...,
Maslay ka hal hai kya wo soochye..,
Fayeda kuch b nahin Takrar se...,
Maand pad jaye gi raunaq bazm ki...,
Ranj-0-gham dukh dard k izhar se...,
Husn be-parwah k waday per yaqeen..,
Goya sar hai phorna deewar se...,
Janay kab Furqaan hum hon gy Reeha...,
Gardish-e-Shaam Alam-e-Asaar se..!!!

Na kuch jamal ki baatain

Na kuch jamal ki baatain na kamal ka zikr...,
Tamam umer hi hota raha malal ka zikr..,
Hamaray apnay hi dushman py hum zuban hain kyun..,
Hr ek lab py hua hai meray sawal ka zikr..,
Jahan yeh baat b seedhi tarah na hoti ho..,
Wahan py kijiye kyun ker Shaab-e-wasal ka zikr...,
Munafqat ne jahan Aetbaar cheen liya...,
Wahan py kesi haqeeqat...kahan ma'al ka zikr..,
Jisay khud apni zara c khabar nahin rehti..,
Woh kis tarah se karay ga tere khayal ka zikr..,
Jo gharq ho gaye Aaseeyan ki be'karani mein...,
Unnhein bachaye ga khun ker faqt Zawal ka zikr...,
Hamari fikr..Hamaray hain rooz-o-shaab Qaidi...,
Abas hi kertay ho tum kyun yeh mah-o-saal ka zikr...,
Azeem Khak nasheen ho chuka...zamana hua...,
Na chero ab tou koye uss ki chaal dhaal ka zikr..!!!

Dil mein Talab

Dil mein Talab aur dua aur tarah ki...,
Hai khaak'nasheeni ki saza aur tarah ki...,
Jab raakh se uthay ga kabhi Ishq ka shola..,
Phir paaye gi yeh khaak shafa aur tarah ki..!!!

Dukh meri zindagi ne diye

Dukh meri zindagi ne diye bar'ha mujhay...,
Lagti hai ab hayat b Yaaro saza mujhay...!!!

Maine jheela hai

Maine jheela hai galay mil k bicharnay ka azaab...,
Meray Ma'bood kisi ko yeh saza mat dena...!!!

Woh shakhs b ajeeb

Hans hans k zindagi ki dya dy gaya mujhay...,
Woh shakhs b ajeeb saza dy gaya mujhay...,
Sookhay huey shajar ki barhana c shaakh per...,
Do panchiyun ka raqs maza dy gaya mujhay..!!!

Kon kis mushqil mein

Mai'kashi ki bhi saza hai...khud'kushi ki bhi saza...,
Kon kis mushqil mein hai...yeh dekhta nahin koye..!!!

Neend b teray bina

Neend b teray bina ab tou saza lagti hai..,
Choonk padta hon agar ankh zara c lagti hai..!!!

Gulabi aanchal

Jab wo daanton mein dabaty hain gulabi aanchal..,
Kitnay pur'kaif nazaron ko saza milti hai..!!!

Bas ek zara c baat thi

Bas ek zara c baat thi lakin tamam umer...,
Woh mujh ko jagnay ki saza dy k so gaya..!!!

Koye bolay tou

Saans lena b saza lagta hai...,
Ab tou marna b rawa lagta hai...,
Itna manoos hon sanatay se...,
Koye bolay tou bura lagta hai..!!!

Qasoor yeh tha

Saza yeh de hai k ankhon se cheen len neendain...,
Qasoor yeh tha k jeenay k khawab dekhay thay..!!!

Yaad nahin

Zindagi jabar-e-musalsal ki tarah katee hai...,
Janay kis jurm ki paye hai saza..yaad nahin..!!!

Bhari bazm mein

Bhari bazm mein raaz ki baat keh de...,
Bara be-adab hon..saza chahta hon..!!!

Sazayen de gayen

Sazayen de gayen oron k jurm ki mujh ko...,
Magar Hareef ko apnay mauf maine kiya..!!!

Yeh zindagi hai

Hr ek chehray ko zakhmon ka ayena na kaho..,
Yeh zindagi hai Rehmaat issay Saza na kaho..!!!

Mera naseeb huey

Mera naseeb huey talkhiyaan zamanay ki...,
Kisi ne khoob saza de hai muskuranay ki..!!!

Bohat shauq tha hamain

Saza k tour per hum ko Qafs mila Jalib...,
Bohat shauq tha hamain Ashiyaan banany ka..!!!

Teri khushi k liye

Bulaon ga.... na milon ga... na khat likhon ga tujhay...,
Teri khushi k liye.... Khud ko yeh Saza don ga..!!!

Uss ki Zulfon ko

Yaro...! Din ki tamana nahin rahe...,
Uss ki Zulfon ko jab se Raat likha hi..!!!

Friday 21 December 2012

Qasam Unn Mast Aankhon ki

~Qasam Unn Mast Aankhon ki main wo labraiz Sagar hon...,
Jo Masti mein chalak jaon....tou mai'khanon ko ly dubon...!!!!

Naya Saal Hai Meri Dilruba

Naya Saal Hai Meri Dilruba...,
Milnay Hi Chali Ao...,
December Ki Sab
Weeranyan Bhool Jaon Ga...,
Tere Sitam...Teray Teer-0-Tarkash K...,
Zakhm Bhar Jayen Gy...,
Adhooray'pan Mein Guzar De Hai Zindagi...,
Mujhay Mukammal Kernay...,
Naya Saal Hai...,
Ay Jaan-E-Jaan... Sai'Sameena... Meri Meena
Ek Baar Chali Aao...!!!

Tuesday 18 December 2012

Dard bhi QayaMaat ka

Poochtay KyA Ho..Daard ki haLat ka???
Dard hai..................Dard bhi QayaMaat ka..!!!

Monday 17 December 2012

DaaRd B HiJrAt KerTay

QafiLaY RaaH Mein QadMon K NeeShan ChoD GaYe..,
KaaSh KhushBu Ki TaRah DaaRd B HiJrAt KerTay..!!!

Ek Hi ShaKhs

Ek Hi ShaKhs Py LuTa DeTay ThAy Jo ZinDagi Apni...,
AiSaY LoG Ab KiTaaBon MeIn MiLa KeRtAy HaiN..!!!

KoYe AisA DeCeMbEr

Na H0N Jis MeiN JuDa Pat'TaY ShaJar sE...,
KoYe AisA DeCeMbEr Dh00nDhtA HoN..!!!

Sab MaHineY ZaaLim HaIn

Maira KyA RiShTa NovEmbEr...DecEmBer...JanUary se...,
Sab MaHineY ZaaLim HaIn,,, IsHQ K FaQeeRoN PeR...!!!

Sunday 16 December 2012

Hum ne saadiyan guzari hain

Hum ne saadiyan guzari hain akelay akelay...
Tumse kyun nahin kat'ta tanha December..???

Shikwa kertay ho

Bagh Alam mein rahay shaadi-o-matam ki tarah...,
Phool ki tarah hansay..ro diye shabnam ki tarah...,
Shikwa kertay ho khushi tum se manaye na gaye...,
Hum se gham b tou na manaya gaya..gham ki tarah..!!!

Lagti hai chout dil per

Lagti hai chout dil per...ata hai yaad jis daam...,
Shabnam k aansuon per..kaaliyun ka muskurana..!!!

Kaantay chubhoo gaye

Hain shehr-e-gull mein zakhm ka chehra kisay dekhaon...,
Shabnam badast log tou kaantay chubhoo gaye...!!!

Aansu hain Chandni

Shabnam Libaas-e-Gull hai tou Aansu hain Chandni...,
Kya hashar khamshi ki sada ho raha hon main...!!!

Samndar se milay

Samndar se milay pyaasay ko shabnam...,
Bakheeli hai yeh... Raazaqi nahin hai..!!!

Wo bhi na bach saki

Shabnam ki ek boond thi phoolon ki kayeenat...,
Wo bhi na bach saki Hawas-e-Aftaab se...!!!

Shabnam ko rulaya phoolon ne

Yeh raaz bahar-e-gulshan hai iss raaz ko samjhay kya koye...,
Shabnam ko rulaya phoolon ne ya raat ko shabnam khud roye..!!!

Raat ki laash py tapkay hain

Yeh na shabnam hai...na bhatkay huey sitaaron ka hujoom...,
Raat ki laash py tapkay hain shabnam k Aansu...!!!

Jo roonay py aa jayen

>>>Jo roonay py aa jayen tou darya hi baha lain...,
ShabNum ki TaraH sE HamaIn Roona Nahi AtA..<<< 

Anjaam-e-baharan k dar se

Anjaam-e-baharan k dar se shabnam ko paseenay atay hain...,
Wo khoon-e-jigar hai gulshan ka jo qatra-e-shabnam hota hai,,..!!!

Koye kaanta ho

Koye kaanta ho...Shabnam ho...k Phool...,
Sab ko aankhon se laga ker guzro...!!!

Tu meray paas na tha

Tu meray paas na tha...phir b sehar honay tak...,
Tera hr saans meray jism ko chu k guzra...,
Qatra qatra teray deedar ki shabnam tapki...,
Lamha lamha teri khushbu se mau'atr guzra...!!!

Tabahi ki meri jab daastan

Tabahi ki meri jab daastan chairi sitaron ne...,
Jigar ko thaam  k be-sakhta ronay laagi shabnam..!!!

Yaadon ki naami

Udd na jaye kahen yaadon ki naami dhoop k saath...,
Aap shabnam ki tarah zehn mein utra na karen...!!!

Kitna gehra hai

Ankh ki shabnam tou meray baadilon ki oos hai...,
Kitna gehra hai Dil-0-jaan ka samandar dekhna...!!!

Zakhmon ko phool

Zakhmon ko phool..Ashk ko shabnam kaho k ab...,
Sahib yeh chahtay hain k gham ka bayan na ho...!!!

Tery rukhsar py

>>>>Tery rukhsar py behtay huey aansu...TauBa...!!!
Maine Shoolon py Machalti huwe ShabNum Dekhi..<<<<

Ek soorat thi ajab

Wo sitara thi...shabnam thi...k phool...,
Ek soorat thi ajab yaad nahin...,
Rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayal...,
Uss ki soorat bhi tou ab yaad nahin...!!!

Jab yaad aye dil mein

>>>>Shabnam ki tarah aankh se aanse nikal paRay...,
Jab yaad aye dil mein guzishta bahar ki...!!!<<<

Pyaas tab phool ki

Kitni palkon ki naami maang ker laye ho gi...,
Pyaas tab phool ki shabnam ne bhujaye hogi..!!!

Kertay hain sab nazara

Shabnam k aasnsuon ko kab dekhti hy duniya...,
Kertay hain sab nazara hasti huwe kaali ka..!!!

Raat Jatay Huey

Phool Jab Kertay Hain Shabnam Ki Zaroorat Mehsus...,
Raat Jatay Huey Kuch Ashk Baha Jati Hai..!!!