Friday 5 October 2012

Teri Aankhein hain k

Teri Aankhein hain k taiz dhaar Khanjer...,
Jis per bhi parti hain Kaleja cheer jati hain...!!!

Dhoondh hi lon ga

Ek na ek rooz tou Dhoondh hi lon ga tujh ko...,
Thokrain zehr tou nahin k kha b na sakon...!!!

Meray saray sawal

Meray saray sawal honton per...,
Uss k saray jawab Aankhon mein..!!!

Aaj b lagti hai Haazri

Ab b aa jati hai meray khayalon mein wo...,
Aaj b lagti hai Haazri...uss ghair-haazir ki..!!!

Shiddat tumhari Yaad ki

Shaam ka Jaadu tha ya Shiddat tumhari Yaad ki...,
Waqt kya mujh ko tou...Dariya bhi Thehra laga...!!!

Acha lagta hai

Ishq ko yeh kamal hasil hai...,
Waqt be'waqt Acha lagta hai..!!!

Tumhari Jeet Se Zyada

Tumhari Jeet Se Zyada...,
Hamarai Haar ka charcha hua..!!!

Jitna b tu chahay

Jitna b tu chahay...Nazar'andaaz kiye ja..,
Paltay hi meri Simt Nazar....Shart Laga Ly..!!!

Pather k Sanam

Meray haathon k tarashay huey Pather k Sanam...,
Aaj butt khanon mein Bhagwan banay baithay hain..!!!

Maat bhi ho jaye gi

Ibteda mein tou Gumaan tak na hua tha mujh ko...,
Baazi-e-Ishq mein meri Maat bhi ho jaye gi..!!!

Dil ka Malik

Dil ka Malik Tujhay bana detay...,
Barf lehja Tera..Rukawat Hai..!!!

Inteha ker dy

Be'wafaye Ki Inteha ker dy...,
Ta k Maloom ho Wafa kya hai..???

Baith jata hon khaak per

Baith jata hon khaak per aksar...,
Apni Okaat achi lagti hai..!!!

Haya kerta tha

Aaj sharmata hai Sooraj uss se...,
Woh jo Taaron se Haya kerta tha..!!

Hum khud baicha kertay thay

Hum khud baicha kertay thay kabhi Dard-e-dil ki dawa...,
Aaj waqt ne hamain la khara kiya Hamari hi dukaan per..!!!

Mujhay nibhanay walo

Haan...haan...main Ishq...Sari khatayen meri...,
Mujhay nibhanay walo..Tum tou sab farishtay ho,,,!!!

Agar yeh Ishq Hai Tou

Dawa Wafa ka aur Tamana Jism ki...,
Agar yeh Ishq Hai Tou phir Hawis kya hai...!!???

Dekhay hain bohat hum ne

Dekhay hain bohat hum ne hangamay mohabbat k...,
Aghaaz b Ruswaye...Anjaam b Ruswaye..!!!

Haseen Chehray hain

Yeh jitnay b Haseen Chehray hain Apni Tasbeeh K Danay Hain...,
Jab b Nazron Se Guzartay Hain Ibadat Hoti Rehti HAi..!!!

Ishq Mehnga Bohat Para hai

ISHQ sasta bohat mila tha...,
Ishq Mehnga Bohat Para hai...!!

Shama bujh janay k bad

Wasl ki pehli shab...aur unn ka naaz se kehna...,
Sach batayo..kya karo gay??? Shama bujh janay k bad..!!!

Samjh nahin ati

Dil hamara hai Aur Iss PEr...,
Hukmarani teri...Samjh nahin ati..!!!

Wo aa jatay hain

Wo aa jatay hain kisi aur k saath mujhay dekhlanay k liye...,
Gham-E-Hijar hi kafi hai ussay kaho mujhay Jalanay k liye...!!!

Sitam choro

Baray masoom bantay ho sitam b laakh dhatay ho...,
Sitam choro ya na choro...magar masoomiyat choro..!!!

Tu Zaroori Hai

Zarooriyat-e-zindagi hum se poochnay walay...,
Tujhay kesay batayen k Tu Zaroori Hai..!!!

Ek Fasl Hijar ki

Ek beej Mohabbat ka boya tha...,
Ek Fasl Hijar ki kaat raha hon...!!!

Zamanay k saath hum

Barson chalay Qateel Zamanay k saath hum...,
Waqif huey na phir b Zamanay Ki Chaal Se..!!!

Ye baat likh daina

Nikah honay se pehlay Ye baat likh daina...,
Tum apnay Mehr mein Meri Hayat Likh Dena..!!!

Kuch fitnay uthay Husn se

Wo shokh b majboor hai mazoor hon main bhi...
Kuch fitnay uthay Husn se..Kuch Husn-E-Nazar se..!!!

Aya mera khayal

Sheeshay mein wo daikh rahay thay Bahar-e-Husn...,
Aya mera khayal tou Sharma k Reh gaye...!!!

Log seenay mein

Log seenay mein Qaid rakhtay hain...,
Hum ne Sar per Charha Liya Dil Ko..!!!

Wafa ka naam suna tha

Wafa ka naam suna tha puranay logon se...,
Hamaray waqt mein Yeh Hadsa hua hi nahin...!!!

Shar Se Rehaye Dy

Main Ishq-E-Kayenaat mein zanjeer ho sakon...,
Mujh ko Hisar-e-zaat K Shar Se Rehaye Dy..!!!

Umeed Iss Qadar Bhi Na Thi

Nigah-E-Qehr se daikha...Yehi Ghanemat hai...,
Mujhay tou aap se Umeed Iss Qadar Bhi Na Thi..!!!

Yaad na karon tou

Wabasta hai meri zat Us ki Yaas se iss qadr...,
Yaad na karon tou Raat nahin dhalti..,
Yaad ker lon...
Tou Aankh nahin lagti..!!!

Khawab Tor Dala tha

Meri aankh mein abhi b chubhta hai...,
Tu ne jo Khawab Tor Dala tha...!!!

WAFA na ki Tou

Tu saath nebhanay ka Wada tou ker...RAB-E-KABA Ki Qasm...,
Dam-e-akhir tak tujh se WAFA na ki Tou Kafir Kehna...!!!

Ab Wo Soochtay Hain

Barha k mujh se Rah-O-Rasm Ab Wo Soochtay Hain...,
Wohe Bohat Tha Jo Rishta Dua Salam Ka Tha..!!!

Zindagi ka safar

Zindagi ka safar Kitna mushkil hai...,
KHUDA ne marna haram kiya hai..Logon ne Jeena...!!!

Mar jatay hain

Zindagi teray ta'qub mein Log..
Itna Chaltay Hain K Mar jatay hain..!!!

Zakhm Gintay Hain

Mohabbat ho chuki poori...,
Chalo Zakhm Gintay Hain..!!!

Jalta ho Jis ka Khoon

Uss gham-Zada se pooch...Waqt-E-Sehr ki qeemat...,
Jalta ho Jis ka Khoon...Charaghon mein Raat Bhar..!!!

Mohabbat azab hai

Hai ISHQ ek rog..Mohabbat azab hai...,
Ek roz yeh kharab karain gy..kaha na tha???

Tum se gar nahin milna

Tou phir yeh Umar hi kyun???
Tum se gar nahin milna..!!!

Jalay kis tarah se

Teri be-rukhi k dayaar mein..ghani tairgi k hisaar mein...,
Jalay kis tarah se Chiragh-E-Jaan?? karay kis tarah se koye Safar???

Ajnabi na lagay

Ek aisay shakhs se bhi Raah-o-Rasm apni...,
Jo Be'rukhi se milay...aur Ajnabi na lagay..!!!

Ab uss ko kho raha hon

Ab uss ko kho raha hon baray ISHTIYAAK se...,
Wo jis ko dhundhnay mein zamana laga mujh ko..!!!

Iss qadar hum se

Koye Peghaam...Na Dua koye...,
Iss qadar hum se Khafa koye..!!!

Hamaray naseeb mein

Bohat jaagay hain hum ab gehri neend soyen gay...,
Hamaray naseeb mein ab na koye Shab-e-Be'daar likhna...!!!

Ajab bhool hai

Tumhen bhulon ga aur main???
Ajab bhool hai Saheb Tumhari...!!!

Tera Dard Kesay Samjhon

Woh kehta hai Bata Tera Dard Kesay Samjhon???
Main kehta hon ISHQ ker...aur Ker K Har Ja..!!!

Dil ko mar baitha hon

Hai koye janaza parhnay wala??
Main apnay Dil ko mar baitha hon..!!!

Duniya kahen uss ko

Ly dy k wohe shakhs hai shehr mein apna...,
Duniya kahen uss ko b samjh'dar na ker dy..!!!

ISHQ Choray

Fikar Anjaam Ki La'Haq Ho Jisay..,
ISHQ Choray...Wo Tijarat Ker Ly..!!!

Hum uss ko Chor detay hain

Ana ki mouj masti mein ab b hum BAADSHAH hain...,
Jo hum ko Tor daita hai...Hum uss ko Chor detay hain..!!

Wafa ki talash mein

Aray tum b niklay ho Wafa ki talash mein.,
Yaqeen Mano, Nahin milti...nahin milti...nahin milti..!!!

Mohabbat farz ho jati

Abhi Ikhteyaari hai tou yeh alam hai...,
Mohabbat farz ho jati tou kya hota?

Tum hi tum hotay

Chasm-E-Num doondh rahe hai tum ko...,
Kash..!!! Dunya mein Tum hi tum hotay..!!!

Mohabbat jeet jaye gi

Mohabbat jeet jaye gi agar tum maan jao tou...,
 
Meray dil mein tumhi tum ho yeh akhir jan jao tou..!!!

Ussay meri yaad sataye

Kabhi yun b ho k baazi palat jaye sari...,
Ussay meri yaad sataye aur main sakon se so jaon..!!!

Suno

Suno...tum woh dua ho jo mangi jaati hai...,
Sakht garmiyun mein barishon k liye...!!!

Aye na Ayaadat ko

Aye na Ayaadat ko woh HIBA...,
So Baar Hum Faraib Se Beemar Ho Gaye...!!!

Woh mera tha

Woh mera tha...mera hai...aur mera hi rahay ga...,
Qayem hai issi zid py dil dheet kaheen ka..!!!

Main b kuch khush nahin

Tum ne acha kiya nibaah nahin kiya...,
Main b kuch khush nahin wafa ker k..!!!

Ek jaan thi

Duniya se jo chalay tou be'wafa thehrain gay...,
Ek jaan thi be'chari kis kis py Nichawar kertay..!!???

Wo khafa kyun hota

Koye rishta jo na hota...tou wo khafa kyun hota...,
Yeh be-rukhi uss ki mohabbat ka pata deti hai..!!!

Mujhay barbaad ker dala

Bara ajeeb qisa hai k meray dil ne...,
Apnay maufaad ki khatir...mujhay barbaad ker dala..!!!

Akhri khwahish meri

Sar-e-maqtal b teray naam k charchay hotay...,
Tu ne poochi hi nahin Akhri khwahish meri...!!!

Ay dil

Ay dil..!!! Thori c himat ker...,
Mil ker ussay bhula dain gay...!!!

Jo meri aankh k rastay

Jo meri aankh k rastay meray dil tak pohncha...,
Woh mahajir tou hakomat py utar aya hai..!!!

Udhar daikhtay rahay

Kuch rooz yeh b rang raha intezar ka...
Uthi jidhar nigaah bas udhar daikhtay rahay..!!!

Woh badalta raha

Hum shajar thay...shajar hi rahay...,
Woh badalta raha mausmon ki tarah..!!!

Rooh shamil nahin

Ab faqt aadaton ki warzish hai...,
Rooh shamil nahin shikayet mein..!!!

TERA hon

Masla yeh nahin k tera hon..,
Masla yeh hai k sirf TERA hon..!!!

kya tum lout ao gay

Chalo dhundhta hon koye aisi wajah k dil behal jaye...,
Agar phir b na sambhl paya tou kya tum lout ao gay???

Yaad aon tou bas

Yaad aon tou bas itni c anayet kerna..,
Apnay badlay huey lehjay ki wazahat kerna..!!!

Kis se seekha hai

Aap tou chahat ka Shah;Kaar hua kertay thay...,
Kis se seekha hai yeh ULFAT mein milawat kerna???

Ek ronay se tu mil jaye

Ek ronay se tu mil jaye tou KHUDA KI QASAM..,
Iss dharti py sawan ki barsaat laga don..!!!

Umar jeenay ki

Hal mat poocho..Ishq kernay ka...
Umar jeenay ki aur shauq marnay ka..!!!

Hawa k rukh py jalta hai

Hawa k rukh py jalta hai chiragh-e-arzu ab tak...,
Dil-e-barbaad mein ab b kisi ki yad baqi hai.!!!

Samjhta dil b nahin


Na janay iss zid ka nateeja kya hoga..,
Samjhta dil b nahin...wo b nahin...main b nahin...!!!

Dil baghawat py utar aaye

Aqal mein lakh khasayel hain shareefon walay...,
Dil baghawat py utar aaye tou be-bas ker dy...!!!

Yeh dard na gaya

Yeh dard na gaya dard-e-jaana ki tarah...,
Galay mein dal ker sabhi taweez daikhay hain..!!!

Dil tod diya mera

Dil tod diya mera ab zehr b pila daina...,
Kafan na milay tou chadar orha daina...
Koye poochay k marz kya hai...,
Nazrain jhuka ker mohabbat bata daina..!!!

Thursday 4 October 2012

Woh Chand jesay asmaan mein

Woh Chand jesay asmaan mein chamktay rahay..,
Hum raat bhar unn ki chamak mein khoye rahay...,
Jantay hain kabhi pa na sakain gay unnhein..,
Phir bhi hr dua mein unnhein mangtay rahay...!!!

Chand meri khirki py

Uljhaan..!!!
 
Raat abhi tanhaye ki pehli dehleez py hai,
 
Aur meri janib apnay haath barhati hai
 
Sooch rahe hon
 
Inn ko thamon
 
Zeena zeena sanaton k teh'khanon mein utaron,
 
Ya apnay kamray mein tehron
 
Chand meri khirki py dasktak deta hai..!!!

Uljhaan..!!!
Raat abhi tanhaye ki pehli dehleez py hai,
Aur meri janib apnay haath barhati hai
Sooch rahe hon
Inn ko thamon
Zeena zeena sanaton k teh'khanon mein utaron,
Ya apnay kamray mein tehron
Uljhaan..!!!
Raat abhi tanhaye ki pehli dehleez py hai,
Aur meri janib apnay haath barhati hai
Sooch rahe hon
Inn ko thamon
Zeena zeena sanaton k teh'khanon mein utaron,
Ya apnay kamray mein tehron
Chand meri khirki py dasktak deta hai..!!!

 dasktak deta hai..!!!

Gham k aansoo thay jo

Chand dekha tou main loogon se lipat lipat ker roya...,
Gham k aansoo thay jo khushyun k bahanay niklay..!!!

Chand dekha hai tou

Chand dekha hai tou yaad aye hai teri surat...,
Haath uthtay hain magar harf-e-dua yaad nahin..!!!

Likha tou tha k khush hon

Likha tou tha k khush hon teray bagair bhi...,
Aansoo magar qalam se pehlay hi gir gaya..!!!

Yeh kon aanso'on ki

Yeh kon aanso'on ki saza dy gaya mujhay..,
Jeenay ki jatay jatay dua dy gaya mujhay...!!!

Aansoo kitnay giray hain

Dard kitnay hain bata nahin sakti...,
Zakhm kitnay hain dikha nahin sakti..,
Aankhon se samjh sako tou samjh lo
Aansoo kitnay giray hain ginna nahin sakti..!!!

Barish aur Ansoo

Barish aur Ansoo
Ek farq
Zayeqay ka..!!!

Main jab tujhay yaad kerta hon

Teri yaadon ka meri aankhon se kuch rishta zaroor hai..,
Main jab tujhay yaad kerta hon yeh ro parti hain..!!!

Wo aansoo ban ker tujh per

Aansoo..

Meri bheegi bheegi palkain
Surkh surkh roti hue
Matwarm
Aankhein
Yeh wazeh na ker dain
K
Tu ne jo mujhay dukh diye
Wo aansoo ban ker tujh per
Meray iss jazbay ko ayan na ker dain
K maine tujh ko toot ker chaha tha..!!!

Tu ne mujh ko kho diya

Gham ki barish ne bhi teray naqsh ko dhoya nahin...,
Tu ne mujh ko kho diya...maine tujhay khoya nahin..!!!

Hansaty hanstay nikal gaye aansu

Hr bala hans k taltay kab tak..???
Jaan mushqil mein daltay kab tak..???
Hansaty hanstay nikal gaye aansu...,
Apni halat sanbhaltay kab tak..???

Pather ki aankh se koye

Ay Butt'Tarash..!!! ISHQ ko hairat mein dal dy...,
Pather ki aankh se koye ansu nikal dy..!!!

Aansu bhari yeh aankhein

Aansu bhari yeh aankhein kehti hain kabhi kabhi...,
Gham-e-inteha se guzar ker behti hain kabhi kabhi..!!!

So wo aansoo hamaray akhri aansoo thay

So wo aansoo hamaray akhri aansoo thay,,
Jo hm ne galay mil ker bahaye thay..,
Na'janay waqt inn ankhon se phir kis tour paish aya..,
Magar meri faraib-e-waqt ki behki hue aankhon ne..,
Iss k baad bhi aansu bahaye hain..,
Meray dil ne bohat se dukh rachaye hain..,
Magar yun hai k mah-e-saal ki iss raye'gani mein meri aankhein..,
Galay miltay huey rishtay ki furqaat k wo aansu phir ro na payen..!!!

Ronay baithay tou

Hum tou samjhay thay k hon gay do, chaar ansoo...,
Ronay baithay tou samandar k samandar niklay..!!!

Rotay rotay hichkiyaan bandh gayen

Bulbul na'shaad ne kuch iss tarah faryaad ki..,
Rotay rotay hichkiyaan bandh gayen SAYAD ki..!!!

Gir jayen jo aansu

Jurtay huey daikha nahin tootay huey dil ko..,
Gir jayen jo aansu..tou uthaye nahin jatay..!!!

Dukh aankhon mein

Dukh aankhon mein nami ban ker jhilmilanay laga..,
Gham-e-firaaq goya khushyun ko dhundlanay laga..,
Diary ka her warq jo uss k mahasn se qalam'band hai..,
Junhi baitha main parhnay Faisal harf harf tarpanay laga..!!!

Baha baha k yeh aansoo

Baha baha k yeh aansoo bikher chuki hon bohat...,
Simat k zaat mein apni ab muskurana chahti hon..!!!

Kisi ne haath barhaya

Na'janay kyun meri aankhon mein aa gaye aansoo
Kisi ne haath barhaya jo doosti k liye..!!!

Na'janay kyun meri aankhon mein aa gaye aansoo
Kisi ne haath barhaya jo doosti k liye..!!!

Gham yaad aa gaye

Aansoo hansi hansi mein nikal aye kyun Faraz...,
Baithay baithay yeh kon se gham yaad aa gaye..!!!

Ek aansu meri palkon py

Ek aansu meri palkon py numaye'yan hi sahe..,
Log kehtay hain charaghan tou charaghan hi sahe..!!!

Tuesday 2 October 2012

Masoom khata karte hain

Teray chehray k ye sada se achotai se naqoosh
Mere tahayul ko kya ye rang ata karte hain
Tere zulfein,tere ainkhen ,tere arz, tere hont
Kesi anjani c masoom khata karte hain

Jesay sada rahain gay

Is darja mutmayen hain wo zulfein sanwar k
Jesay sada rahain gay zamanay bahar k

Andaz apna dekhtay hain

Andaz apna dekhtaay hain ayenay mein wo
 
Zulfein sanwar kr kbi zulfein bigar kr

Tu agr apna bna le muj ko

Chasham pur'nam khareed sakta hon
Zulf barham khareed sakta hon
Tu agr apna bna le muj ko
Tera hr gham khreed sakta hon

Kisi gareeb ki

Zulfain sanwarnai se bane gi na koye baat
Uthye kisi gareeb ki qismat sanwarye

Guzara nahi kertay

Kehtay hain chup chap se rehtay hain wo aksar
Zulfein b suna hai k wo sanwara nahi karte
Din rat unn k guzrtay hain pareshan
Aram se hum b to guzara nahi karte

Mere sath raha ho jesay

Tere zulfain b pareshan hain mere dil ki tarha
Tu b kuch dair mere sath raha ho jesay..!!!

Chehray p meray

Chehray p meray zulf ko phailao kisi din
Kiya roz garjtay ho baras jao kisi din
Razon ki tarha utro mere dil mein kisi shab
Dastak p meray hath ki khul jao kisi din

Jis ne dekha tere mukhray ko

Zulfein sumbal hain to nargis o shehla ankhein
Jis ne dekha tere mukhray ko wo gulshan samjha

Jo dekhtay tere

Jo dekhtay tere zanjeer e zulf ka alm
Aseer honay ki Azaad arzoo karte

Simti to bani nagin

Iss zulf ka kiya kehna jo dosh p lehraye
Simti to bani nagin phaili to gatha chaye

Hum b preshan bohat hain

Ae zulf e sanam a tujai senai se lga len
Tere hi tarha hum b preshan bohat hain

Pocha jo un se

Pocha jo un se chand niklta hai kis tarha
Aik khushboo c hai khawaon main
Jb uljti hain to kuch aur sanwar jati hain
Zindgi b hai tere Zulf e preshan ki tarha

Zamanay ko ilm ho

Zulfein bekhair dain k zamanay ko ilm ho
Zulmat haseen tar hai shab e mahtab se

Dil p qaboo ho to

Dil p qaboo ho to hum b sar e mehfil dekhen
Wo khum e zulf hai kiya surt e zeba kiya hai

Tujhay dekhon to

Ghani zulfon k saye mein chamkta chand sa chehra
Tujhay dekhon to kuch raten suhani yad ati hain

Bikhar jati hain

Sir se girti hain to shanoo p bikhar jati hain
Tum nai zulfon ko bara sir p chra rakha hai

Uss ki zulfain

Arzoo hai k usay goor se takta jaon
Sans ruk jaye mere uss ki ibadt kertay
Uss ki zulfain, lab o rukhsar thay aur hath meray
Kat gaye wasl k lamhay youn sharart kertay..!!!

Jalwon se teray

Zulfon ko diya hai rukh e zeba ne ajab rang
Jalwon se teray aur b roshan huway Saye

Zulf lehrane ka nam

Rung perah'n ka khushboo zulf lehrane ka nam
Mausam e gul hai tumhare bam per ane ka nam

Ye israr hai bohat

Khushboo kahen na jaye ye israr hai bohat
Aur ye b arzoo zara zulf kholye

Wo b tu ko mera ban na ska

Wo b tu ko mera ban na ska
Jis nay qismat mere bnaye hai

Mere dil ka faisla hai

Main tujhay apna samjh lon ye to ab mumkin nahi
Mere dil ka faisla hai to bara harjaye hai
Tu ne dhoondi hain panahain gair ki agosh mein
Mere qismat main ab karb-e-shab-e-tanhaye hai

Mere qismat mein gham

Mere qismat mein gham agr itna tha
Dil b Ya Rub kaye diye hotay..!!!

Jinhain hasil hai tera qurb

Jinhain hasil hai tera qurb khush qismat sahi lakin
Tere hasrt liye mar janay walay aur hotay hain

Aisa laga mujhay

Be simat c, udasi c, sedhi c ik nigha
Main sochta hon kesay mujhay raam kar gaye
Khalid wo jo ban sanwar k aye meray pas
Aisa laga mujhay meri qismat sanwar gaye

Mujhay maloom hai

Kabhi main apnay haathon ki lakeeron se nahi uljha
Mujhay maloom hai qismat ka likha b badlta hai

Qismat ki khoobi dekhain

Qismat ki khoobi dekhain tuti kahan kamand
Do char haath jb k lub e bam reh gaya

Mere qismat nahi mohtaj

Mere pukhta araday khud hi badlain gay meri taqdeer
Mere qismat nahi mohtaj haathon ki lakeeron ki..!!!

Kyun na naaz karay

Nigha e yaar jisay ashnaye raaz karay
Wo apni khubi e qismat p kyun na naaz karay???

Chalti jo sans hai

Qismat pe naz hai to waja tere dosti
Khushyan jo pas hain jo waja tere dosti
Tum muj se dosti ki talab kase kro gai
Chalti jo sans hai to waja tere dosti

Iss mein qismat ki khata hai

Iss mein qismat ki khata hai na zamanay ka qasoor
Gham to insan ki jeenay ki saza hotay hain

Kash wo dil mein

Jis ki qismat hi darbadar tehray
wo bujha chand kisi k ghar tehray
Umar guzri sanwartay dil ko
Kash wo dil mein lamha bhar tehray

Tu mere qismat ka tara hai

Tu mere qismat ka tara hai mere zulfon ka phool
Choor sakta hai kahen ye sath asani k sath

Gham ki zad mein

Gham ki zad mein agar bigar jayen
Phir kahan qismaten sanwarten hain
Zikar tajded-e-dosti na kar
Ab ye batain garan guzarti hain

Lout atay hain janay walay

Main to smjha tha lout atay hain janay walay..,
Tu ne to ja k judaye mere qismat kr di..

Hai shehar ki qismat main

Hr ghar mein hai tazkra-e-taig-o-tabar kyun???
Hai shehar ki qismat main lahoo sham o sahr kyun???

Koye muqadar dekhta

Meri qismat ki lakeren meray hathon mein na thi
Teray mathay py mera koye muqadar dekhta..!!!

Tamana k gulab

Unki qismat k khilen roz tamana k gulab
Mere taqdeer k zakhmon ki chita ko dekho.!!

Tamana k gulab

Unki qismat k khilen roz tamana k gulab
Mere taqdeer k zakhmon ki chita ko dekho.!!

Mujhay teri zaroorat hai

Main apni zaat ki tanhayeyun mein zinda hon..,
Magar yeh b sach hai k mujhay teri zaroorat hai bohat..!!!

Mujhay na satao itna k

Mujhay na satao itna k...main rooth jaon tum se...,
Mujhay acha nahin lagta apni saanson se juda rehna..!!!

Khyal tera hi rehta hai

Kabhi tuta hi nahin meray dil se teri yaad ka tasalsul..,
Guftugu jis ki b ho khyal tera hi rehta hai..!!!

Tum hi tum hotay

Chashm-e-nam dhoondh rahe hai tum ko...,
Kash... dunya mein tum hi tum hotay..!!!

Mohabbat kernay walay

Mohabbat kernay walay tou hamesha sath rehtay hain..,
Mohabbat mein judaye ka koye mausam nahin hota..!!!