Wednesday 17 October 2012

Mujhay aaj mein hi tum rehnay do

Uss kal ki baatain kya kerni...,
Jis kal ko kisi ne daikha nahin...,
Main aaj mein jeena chahti hon....,
Mujhay aaj mein hi tum rehnay do..!!!

Meri khamoshi ko nafrat se na tabeer karo

Meri khamoshi ko nafrat se na tabeer karo...,
Main tou khushbu hon meray pyaar ki touqeer karo..,
Dilon k khail mein gar jeetnay ki khawahish hai...,
Tou apni baat ko khanjar.....nazar ko teer karoo..,!!!

Roshni

Zindagi ko faraib dy ker...,
Hazar raastay musafaton k...,
Jo paar ker k dagar py pohnchay.,
Tou roushni maadoom ho chuki thi...,
Wo Roshni jo naved-e-jan thi..!!!

Tum agay agay rehtay ho

Kya hr pal likhtay rehtay ho...,
Janay kya kehtay rehtay ho...,
Kyun munh se bol nahin detay...,
Khamoshi se kya sehtay ho...,
NAhin tairna ata jab tumko..,
Kyun saath dukhon k behtay ho...,
Main saath tumhara kya don gi..,
Tum agay agay rehtay ho..!!!

Khool...!!!

MEri ana ka khol jo
Chatan sa mazboot tha
Yun toot ker bikhar gaya
K phir kabhi na jurr saka
Ta'azeem k ehsas se..!!!

Muskurahat..

Itnay arsay baad milay ho
Kesay rahay tum achay tou ho?
Na bhi batao tou kya hoga
Chehra tumhara bol raha hai
Saari ruton ki sakhti tum ne seh le hai
Aur jeena seekh chukay ho
Lehaza tumharay labon per ab
Muskurahat k siwa kuch dekhaye na dy ga..!!!

Bari nafrat hai duniya mein

Bari nafrat hai duniya mein..,
Mohabbat aam ker do tum...,
Yeh kitni sakht subah hai...,
Bhali c shaam ker do tum...,
Tumahray pas jo dukh hain...,
Wo meray naam ker do tum..,
Wafa mein pehl maine ki...,
Ussay anjaam ker do tum...!!!

Ek larki hon

Ek larki hon...,
Majboor hon main...,
Kitnay sadmon se...
Chur hon main...,
Kamzoor hai yeh...,
Mash'hur hon main..,
Hain mard qilla...,
Mahsoor hon main...,
Tum door hi sahe...,
Nahin door hon main..!!!

Tuesday 16 October 2012

Shayari sirf alfaaz ki takmeel nahin

Shayari sirf alfaaz ki takmeel nahin..,
Hr koye apnay tajarbaat bayan kerta hai..!!!

Dekhtay hain teri qudrat mujhay kya daiti hai

Dekhtay hain teri qudrat mujhay kya daiti hai...,
Mujh ko bakhshay gi ya meri jaan laiti hai...,
Maine kab apnay gunahon se hi inkaar kiya.,
Per teri zaat tou hr daagh mita daiti hai...,
Tu hai hr cheez py Qadir Zuljaalal hai Tu...,
Teri Rehmaat meray aeboobon ko chupa laiti hai...,
Main hon tayeb agar qabooliyat mujhay bkhshay..,
Qabar ki rat mujhay bohat dara daiti hai...,
Maine mana teri duniya bohat haseen hai lakin...,
Teray bandon ko yehi chez dagha daiti hai..!!!

Ankhein tou razamand hain lab sooch rahay hain

Izhaar-e-Tamana py aajab hal hai dil ka...,
Ankhein tou razamand hain lab sooch rahay hain...!!!

Meri tarah se shajar b hain bagiyana mizaaj

Meri tarah se shajar b hain bagiyana mizaaj...,
Jahan se kaatay gaye thay waheen se ugg aye..!!!

Maine b ussay daikh k rukh phair liya tha

Aaya hon kahan se main sar-e-shaam nahin poocha..,
Basti k chiraaghon ne mera naam nahin poocha..,
Maine b ussay daikh k rukh phair liya tha..,
Uss ne mera haal sar-e-aam nahin poocha..!!!

Toot ker umeed ki kirchiyun mein bat gaye

Toot ker umeed ki kirchiyun mein bat gaye..,
Raiza raiza ho gaye Armaan paather ki tarah...!!!

Sach kahon mujh ko yeh unwaan bura lagta hai

Sach kahon mujh ko yeh unwaan bura lagta hai...,
Zulam sehta hon insaan bura lagta hai...,
Kis qadar ho gaye masroof yeh apni dunya...,
Aik din thehray...tou mehmaan bura lagta hai..!!!

Apnay haathon ki lakeeron py bigar jatay hain

Apnay haathon ki lakeeron py bigar jatay hain..,
Hum tou pagal hain hawaon se b lar jatay hain...,
Tum ba'zid ho k chalo saath hamaray lakin...,
Hum musafir hain bohat jald bichar jatay hain..!!!

Inkaar ki jo baat se agay nahin gaya

Inkaar ki jo baat se agay nahin gaya...,
Wo shakhs mumkinaat se agay nahin gaya..!!!

Wo agar mehrbaan ho jayen

Wo agar mehrbaan ho jayen..,
Arzuain jawan ho jayen...,
Ek muddat se dil mein hai armaan...,
Kaash wo meri jaan ho jayen..!!!

Jo kisi ko b kuch nahin kehtay

Umer guzri Azaab-e-Jaan sehtay...,
Dhoop mein Zair-e-asmaan rehtay..,
Hum hain sunsaan raaston k shajar..,
Jo kisi ko b kuch nahin kehtay..!!!

Yaad hain sab mujhay hijar k sadmay zaalim

Yaad hain sab mujhay hijar k sadmay zaalim...,
Bhool jata hon magar daikh k soorat teri..!!!

Luta tha jis jagah

Balayen ly raha hon iss zameen k zaray zaray ki...,
Luta tha jis jagah Raah-e-Wafa mein karwaan apna..!!!

Umer kesay kaatay gi Saif yahan

Umer kesay kaatay gi Saif yahan...,
Raat kat'ti nazar nahin aati..!!!

Shabnam k aansuon ko

Shabnam k aansuon ko kab dekhti hai duniya...,
Kertay hain sab nazara hansti hue kaali ka...!!!

Ab meri mohabbat se

Hr baat py nafrat ka yeh izhaar sa kyun hai...,
Ab meri mohabbat se wo be'zaar sa kyun hai...!!!

Kisi k munh se na nikla hamaray dafan k waqt

Kisi k munh se na nikla hamaray dafan k waqt...,
K un py khaak na daalo yeh hain nahaye huey...!!!

Jo zindagi thi meri jaan teray saath gaye

Jo zindagi thi meri jaan teray saath gaye...,
Bas ab tou umer k naqshay mein rang bharna hai..!!!

Be-sood hai zaalim se mohabbat ki tawaqo

Be-sood hai zaalim se mohabbat ki tawaqo...,
Ay dost...kaheen aag mein b phool khilay hain..!!!

Uss ki khawahish hai

Uss ki khawahish hai k aangan mein utaray sooraj...,
Bhool baitha hai k khud moom ka ghar rakhta hai..!!!

Mana k iss zameen ko na gulzaar ker sakay

Mana k iss zameen ko na gulzaar ker sakay...,
Kuch khaar kam tou ker gaye..guzray jidhar se hum..!!!

Yahan hai kon jo aa ker meri gawahi dy

Yahan hai kon jo aa ker meri gawahi dy...,
Main shehar-e-sang mein lab kholnay se darti hon..!!!

Rooth jatay ho tou

Rooth jatay ho tou kuch aur haseen lagtay ho...,
Bas yehi sooch ker tou tum ko khafa rakha hai..!!!

Itna to dil hmara kabi na udas tha

Itna to dil hmara kabi na udas tha
Hr-chand pehlai pehlo k tu b na pas tha
Pehli shab e fraq main bikhra tha toot kr
Main ibtda-e-ishq main gham na-shaans tha
Andesha hay hijar azl se thai zehan main
Mudaat se apnai dil main hoof o hras tha
Apni khabar mujai thi na ajdad ki khabar
Mere asa-e-kon main kis ki asas tha
Shahzad us k daam main ata na kis tarha
Sayad khush labas tha rangeen libas tha

Rooh to aksar bemar rahi hai hmari

Rooh to aksar bemar rahi hai hmari
Phir dil kyun muhabaat main raha hai hmara
Dooba kyun raha ishq main dil hmara
Hath rakhta hon senai per tokyun darkhta hai dil hmara
Rooh to aksar bemar rahi hai hmari
Phir ye muhabaat ka gohar tot'ta kyun nahi hmara
Itni kyun muhabaat mazboot ho gaye un se hmari
Kya iss dard ki dawa hai iss jahan main hmari
Aaj shidt-e-gham ka zabt tot jaye un se hmara
Kyun kho gya ishq main uss k Hamid be-chara

Uss se kehna

Uss se kehna mujai muhabaat hai bohat tum se
Main nai chragon ko bujha diya hai sar-e-sham
Zindgi ab inhi andheroon main uljhai gi
Ana kabi ujli hui dhoop ki tarha sar-e-sham
Isse kehna mujai rifqt-e-ulfat hai bohat tanhai se
Mahool tmashee se barhai jb tera , to lotna sar-e-sham
Iss pehli nazr ki tarha mehsoos karta hon tujai
Jiss ne khareeda hai muj ko ik lamhai main sar-e-sham
Zindgi bohat pari hai abi sochta hon tanha Haseer
Bin tere kase kate gi kehna isse sar-e-sham
 

Roz hr baat p deta hai hawala dil ka

Roz hr baat p deta hai hawala dil ka
Phoot jaye ga kisi roz ye challa dil ka
Band jata hai koye patti mere ainkhon per
Khol jata hai koye chupke se talla dil ka
Warna darya b bohat chain se tha kashti b
Le k phir dhoob gya hum ko sambhala dil ka
Tum se a milta mere dunya mgr raste main
Mill gya tha mujai aik jan`ne wala dil ka
Rat ati hai mgr hoti nahi tareki
Phail jata hai hr aik simt ujalla dil ka

Muhabton main jo gham mila hai yahi bohat hai

Muhabton main jo gham mila hai yahi bohat hai
Wo rote rote ye keh raha hai yahi bohat hai
Agrche mere khlaf is ne kiya hai lakin
Ye faisla is ne khud kiya hai yhi bohat hai
Agr wo shakhs ab mera nahi hai to gum nahi kuch
Gaye dino main mera raha yahi bohat hai
Main apne hise ka hans lon mere kahan ye kismat
Bus apne hise ka ro liya hai yahi bohat hai
Koye zaroori nahi kisi ko main yad aon
Koye mujai yad a raha hai yahi bohat hai
Mujai wo manne na manne ye teh hai temoor
Wo mere bare main janta hai yahi bohat hai

Aankhon se nami

Aankhon se nami paon se challe nahi jate
Ae  ishq  tere dard  sambhale nahi  jate
Kr  k wo  naseebon k  hwale  nahi  jate
Dil tor k  youn  chahne wale nahi jate
Kuch log hain,mudat hui,dekhe na mle hain
Kya bat hai,wo dil se nikake nahi jate
Lakhon hain gille tum se,jo hounton main dbe hain
Kanten kabi pholon se nikale nahi jate
Insan k muqadar main jo barbadi na hoti
Adam kabi jannat se nikale na jate
Dewane, dlail se b  qayl nahi hote
Ushaq tu farda pe b talle nahi jate

Adab ki had main hon

Adab ki had main hon main be'adab nahi hota
Tumhara tazkara ab rooz-o-shab nahi hota
Kabi kabi to chalak parti hain youhi ainkhain
Udas honai ka koye sabab nahi hota
Kaye ameroon ki mehroomyan na poch k bs
Gareeb honai ka ahsas ab nahi hota
Main waldain ko ye baat kase samjhaon
Muhabton main hasb aur nasb nahi hota
Wahan k log barai dil faraib hotai hain
Mera behkna b koye ajb nahi hota
Main is zameen ka didar karna chahta hon
Jahan kabi b Khuda ka gazb nahi hota

kaheen chand rahoon main kho gaya

kaheen chand rahoon main kho gaya kahi chandni b bhatk gaye
Main charag wo b bujha huwa mere raat kase chamak gaye
Mere dastan ka arooj tha tere narm palkon ki chaon main
Mere sath tha tujhai jagna tere ainkh kase jhapak gaye
Bhala hmmilai b to kya milai wo hi doriyan wo hi faslai
Na kabi tumharai qadam bharai na kabi hmari jhijak gaye 
Mere hath se tere hount tk wo hi intazar ki payas hai
Tere nam ki jo sharab thi kahi rastai main chalak gaye
Tujai bhool janai ki koshishen kabi kamyab na ho saki
Tere yaad shahai gulab thi jo hawa chali to lachak gaye

Ho gaye jism ki poshak badlne wali

Ho gaye jism ki poshak badlne wali
Pr nahi rooh ki khurak badlnai wali
Apnai sir ka koye saya b badlta hai bhala
Mere dharti nahi aflaak badlnai wali
Kis nai luta hai tmhai dai k muhbaat ka yaqeen
Wo jo hr pal main hai adrak badlnai wali
Kabi Darvesh, kabi Shah, kabi Sodagar
Us k qabzai main hain amlak badlnai wali
Ghomtai ghomtai is p hi mukamal hon ga
Apni fitrat hi nahi chak badlnai wali
Jis ka herai se hr ik aang bana ho Shahzad
Gul ki pati se hai kya haak badlnai wali


Sakoon dil ko milai rooh qrar milai

Sakoon dil ko milai rooh qrar milai
Milai hayat jo muj ko wo khushgawar milai
Tere karm tere rahmt se ilteja hai mere
Mere zameer ko iman paidar milai
Bara mahal hai iss door main bu'waqt-e-safr
Dilon ko azm nigahon k itbar milai
Jinhai hajoom main dekha tha khanda zn main nai
Wo jb milai kabi tanha to ashkbar milai
Zmana jn k taqadus p naz karta tha
Mere nazr ko wo chehrai b dagdar milai
Khuda ka shukar hai Arif inhai sakoon to mila
Milai hain muj ko jo insan wo be'qrar milai

Tanhai ka dukh gahra tha

Tanhai ka dukh gahra tha
Main darya darya roya tha
Ik lehar na sambhli warna
Main tufaan se khela tha
Tanha ka tanha saya
Dar se mere sath lga tha
Chor gaye jb sarai sathi
Tanhai nai sath diya tha
Sookh gaye jb sukh ki dali
Tanhai ka phool khila tha
Tanhai main yad-e-Khuda thi

Chand din jo dosti k nibha k chalai gaye

Muj ko milai begair wo a ker chali gaye
Guzrai dino ki yad dila k chali gaye
Ye unki be rukhi mujai bhali nahi lagi
Adab-e-dosti wo bhula k chali gaye
Wo dil fareeb batain yadain huwe hain khawab
Roshan shama thi dil main bujha k chali gaye
Un k liyai to main nai zmanai k dukh sahai
Tuhmat wo be-wafai ki lga k chali gaye
Shams muj ko unka dili ehtram hai
Chand din jo dosti k nibha k chalai gaye

Aankhain b nam nam dil b pur gham


Aankhain b nam nam dil b pur gham dard ka aalm aj b hai
Tum hi nahi ho paas warna pyar ka mosam aaj b hai
Khwab ka aalm khawab huwa ab neend kahan ainkhon main
Reen nzarai roshan roshan thandi shabnam aj b hai
Bikhri zulfain kaneeza ainkhen wo hounton ki narm chuban
Kasai bulayen in lamhon ki lazt beham aaj b hai
Duniya zahir ki shedaye wo kya jane pyar hai kya
Hounton p muskan hai apnai dilmain tera gham aj b hai
Mar mar k jetai hain Shams phir b hmai aram nahi
Asa lagta hai hum p asman barham aj b hai

Apnai ashkon ki ye barsat kisai pesh karon

Apnai ashkon ki ye barsat kisai pesh karon
Gham-e-faqat ki ye sugat kisai pesh karon
Gham-e- duraan ki shakayat, Gham-e- jana ka gilla
Uff ye picheda khayalat kisai pesh karon
Kon pochai ga mere haal-e-farda ka mazaj
Gham-e-duraan ki hakayat kisai pesh karon
Zeest ko talkh bnatai hain jo hr dm mere
Uljhai uljhai wo sawalat kisai pesh karon
Mntashir ho gaya sheraza ulfat afsoos
Dil k bikhre hoye zrrat kisai pesh karon
Gham ki taseer se ho jati hai toheen-e-wafa
Iss azeyat ki hasayat kisai pesh karon
Aaj b wo Shams to ati hain main b sitam
Aur phir shooq k jazbat kisai pesh karon

Nazar sai door hain mgr dil se juda to nahi


Nazar sai door hain mgr dil se juda to nahi
Hmarai darmyan koye b fasla to nahi
Yaqeen kis p karen is badlti dunya p
Hain rahzan sabi koye b rahnma to nahi
Qadm qadm p hai mout-e-hayat ka hadsha
Jiyen kase pehli c aab-o-hawa to nahi
Zamana kyun hai wafa ka azl se hi dushman
Bura na mano to keh don wafa khata to nahi
Kahan kahan nahi bathka hon tlash-e-yaar main
Kahen b mere jaan wo mila to nahi
Bhulana ehd-e-wafa rabt rakhna b nahi
Mere habib ki b ye koye adt to nahi
Piyar ka matlashi to hai lakin khudi hai Shams main
Tumhai hasil karnai k leyai kahan kahan bathka nahi

Unki yaad aye hai

Unki yaad aye hai sansoo ruk ruk k chalo
Dharkano se b ibadat main halal parta hai

Mere ye zid

Tera ye shooq k muhabaat ki bheek main mangon
Mere ye zid k takaza mera asool nahi..........

Log kehtai hain tu ab b khafa hai muj se

Log kehtai hain tu ab b khafa hai muj se
Tere aankhon nai to kuch aur kaha hai muj se

Aankhon ko na dai saza

Halat to a k dekh dil-e be'qrar ki
Aankhon ko na dai saza aur intzar ki

Ye wo hasrat hai

Hasrat hai k tum ho main hon aur tanhai ho
Ye wo hasrat hai jis hasrat p khud hasrat ko hasrat hai

Tapk partay hain ansoo jb tumhari yaad ati hai

Tapk partay hain ansoo jb tumhari yaad ati hai
Ye wo barsat hai jis ka mosam nahi hota

Barsati hain atraf se pathar tere yadain

Jb chalti hai tez hawa basti main sar-e-sham
Barsati hain atraf se pathar tere yadain

Main apni hr sans


Main apni hr sans ussi raat ko dai don
Sir rakh k merai senay p so jao kisi dn

Janaza rook k mera

Janaza rook k mera wo iss andaz se bolay
Gali hum nai kahi thi tum to dunya choray jate ho

Wo sada hum se mila

Wo sada hum se mila seep ka moti bn kr
Uss k andaz e takalum main hajab aj b hai

Kash main tere aankh ka ansoo hota

Kash main tere aankh ka ansoo hota
Tere goud main girta terai rukhsar chom k

Mumkin hai asa waqt ho

Mumkin hai asa waqt ho tarteeb-e-waqt main
Dastak ko tera hath uthai mera dar na ho

Zakhmi huwe jo hont

Zakhmi huwe jo hont to mehsoos ye huwa
Chuma tha main ne phool ko dewangi k sath

Her waqt mere khooj main rahti hai tere yaad

Her waqt mere khooj main rahti hai tere yaad
Tu nai merai wajood ki tanhai cheen li

Qatal k waqt trapnai se sanam rooth gaya


Qatal k waqt trapnai se sanam rooth gaya
Khoon behta huwa jata hai mnanai k leyai

Ye hi to bs dil ki bebasi hai

Main nai kb kaha tu mera hai
Ye hi to bs dil ki bebasi hai

Koye khareed k toota piyala kya karta

Kisi nai mool na pocha dil-e-shiksta ka
Koye khareed k toota piyala kya karta

Tere janay se jo dhool uthi thi gham ki


Tere janay se jo dhool uthi thi gham ki
Main nai uss dhool ko aankhon mein saja rakha hai

Chain lenay nahi deta kisi tarha mujay


Chain lenay nahi deta kisi tarha mujay
Tere yadon ne jo tufan khara kr rakha hai

Tum jisay roota huwa chor gaye thi ik din

Tum jisay roota huwa chor gaye thi ik din
Main ne uss din ko senay se lga rakha hai

Sans tak nahi letay tujay sochtay waqt

Sans tak nahi letay tujay sochtay waqt
Dar rahta hai tere khushboo nikal na jaye sans k sath..!!!

Lagzishon se mawra tu b nahi main b nahi

Lagzishon se mawra tu b nahi main b nahi
Dono insan hain Khuda tu b nahi main b nahi
Tu jafa ki main wafa ki raah per hain gamzan
Pechai mur k dekhta tu b nahi main b nahi
Tu mujhai, main tujhai ilzam dharta hon
Apnai man main jhankt tu b nahi main b nahi
Maslehat nai kar deyai dono main peda ihtalaf
Warna fitrat ka bura tu b nahi main b nahi
Bd'gumani shehar main kis nai phela di jb k
Aik dosrai se khafa tu b nahi main b nahi
Jurm ki noyaton main kuch tagawt ho t ho
Dar'haqeeqt parsa tu b nahi main b nahi
Jaan-e-Shams tu b tha zidi,anna muj main b thi
DDono khud sar thai jhuka tu b nahi main b nahi

Mujai uss shakhs ki parwa bohat hai


Mujai uss shakhs ki parwa bohat hai
Jo samjho to yehi rishta bohat hai
Wohi aik baat jo sb se chupaye
Ussi ik baat ka charcha bohat hai
Kisi ko bholna mumkin nahi hai
Wagrna hum nai to chaha bohat hai
Tere jesa koye milta nahi hai
Chalo ab mout ka samna kar len
K jeena to yahan mehnga bohat hai


PAYA TUJ KO AaNKHON MAIN


PAYA TUJ KO AaNKHON MAIN
Iss dil ki rahon main...
Apnon main sapnon main...
Palkon ki chilman main...
Ashkon k ansoo main...
Muskratai hounton main...
Her haseen chehrai main...
Her lamhai yadon main...
Khuobsurt mosam main...
Photti kalyoun main...
Khiltai pholon main...
Suraj ki kirnon main...
Dhoob k saye main...
Karktai badal main...
Barish ki bondon main...
Dhalti shamo main...
Tanha raton main...
Raat ki tareeki main...
Chanda ki roshni main...
Taron ki jhilmil main...
Bolti awazon main...
Chup tanha khamoshi main...
Khushboo main sanso main...
Un kahi baton main...
Pyar se muhabaat main...
Dhonda sare jahan main...
 PAYA TUJ KO AINKHON MAIN

Mujai goor se na dekho dil main utr na jaon

Mujai goor se na dekho dil main utr na jaon
Tere soch main simat ker rooh main bikhar na jaon
Terai husan ki mahak nai mujai zindgi sekha di
Main ishq main jalon ga jb tk nikhar na jaon
Tere naqsh paa se hasil janaat ka rasta ho
Guzri ho tum jahan se main kyun na udhar jaon
Tujhai dekhnai ki hasrat rooz e awl se shamil
Main kab se muntazir hon dar hai k maar na jaon
Masti c hai faza main shaid wo a rahi ho
Betha hon raah guzar main kaheen be'khaber rah na jaon
Tere husan ki jaanfra ko dekhai jo hoosh kho dai
Zara Shams ki b sun lo kahen maar na jaon

Wo mujai yad ati hai

Wo mujai yad ati hai
Wo mujai stati hai
Uss ki yaad ik janoon hai
Uski khushboo isi dil main basi hai
Wo mujai bolati hai....
Muj se piyar bhari baten karti hai
Muhabaat wo muj se karti hai
Ye do dilon ka rishta hai
Kyun k uski qatil adaon nai mujai
Uss ki tarf dakheel rakha hai
Usski muskrahat nai mujai
Zinda rakha hai....
Uss ki ainkhon nai mujai
Apnai dil main basa rakha hai
Uss ki baton nai mujai
Muhabaat karna sikha rakha hai

Yeh sangdilon ki dunya hai

Yeh sangdilon ki dunya hai yahan sanbhal k chalna Mohsin...,
Yahan palkon py bithaya jata hai nazron se giranay k baad...!!!

Tu ne andaaz-e-aseeri dekha hai.

Tu ne andaaz-e-aseeri dekha hai...andaaz-e-wafa nahin shayed...,
Kuch panchi pinjra khol b do tou jaya nahin kertay,,!!!

Na jala itnay diye meri raah'guzar mein Wasi

Na jala itnay diye meri raah'guzar mein Wasi...,
K manzil ko bhool k mujhay raahon se pyar ho jaye...!!!

Udaasyan jab tumhen satayen

Udaasyan jab tumhen satayen
Tou sooch laina...,
K koye tou hai...,
Jo tumhari khatir...,
Andhairon ko chu raha hai...,
Koye tou hai...,
Jo tumharay khawabon ko..,
Apni aankhon mein bun raha hai...,
Koye tou hai...,
Jo tumhari saanson ko...,
Apni saanson mein sun raha hai...,
Koye tou hai jo apni dharkan ki...,
Tasbeehon per
Tumhara Naam ko...,
Gin raha hai..!!!

Kabhi main yaad aon tou

Kabhi main yaad aon tou...
Kabhi tanhaye ki raatain zeyada satayaen tou...,
Kabhi jab dil bhar jaye...koye tumhen sun na paye tou...,
Agar koye dost ya saathi n tumse rooth jaye tou...,
Kabhi chahtay huey b akelay ro na pao tou...,
Apni ankhon ko band kerna..mujhay awaz dy daina...,
Aur phir meray tasawurr se jo chaho keh dena...,
Mera kandhay per sar rakh ker....tum jitna chaho ro lena...,
Phir khud mein jab lout jao tou..Ussi dunya mein chalay jana...,
Bas itna kehna hai k...jab b hamain dil se pukaro gy...,
Hamain Saath Hi Pao Gy..!!!

Kahan yeh bas mein k khud ko hum hosla detay

Kahan yeh bas mein k khud ko hum hosla detay...,
Yehi bohat tha k hr gham ko bhula detay...,
Hamaray aks mein hoti jo zakhm-e-dil ki jhalak...,
Hum ayenay ko b apni tarah rula detay...,
Hamain b jo roshnyun per dastrass hoti...,
Kabhi chiraagh jalatay aur kabhi bhuja detay...,
Hamaray paon hawaon ki zaad mein thay warna..,
Guzarti umer ko ruk ruk ker hum sada detay..!!!

Humsafar mohabbat k liye tumhen ana par jaye

Be-zaar dena main tumhen bulwana par jaye...,
Humsafar mohabbat k liye tumhen ana par jaye..,
Rokain gy raqeeb hr pal qadam tumharay...,
Mudaton ka khawab na raah mein bichana par jaye...,
Torain gy chahany walay sab naatay hum se...,
Aisa na ho kisi roz tumhen ana par jaye...,
Laafzon se na ada ho sakay Rasm-e-Ishq...,
Judaye k mausam ko na nibhana par jaye..,
Log badal dain gy hamaray baray mein kuch raaye...,
Sooch k na uss waqt tumhari tilmilana par jaye..!!!

Imtehaan

Imtehaan...!!!
Tumhen mehsus ho ab zindagi mein kuch nahin raha...,
Na koye khawab zinda hai...,
Na koye pal mein na aahat hai...,
Tumharay haath khaali hain...,
Tumhari zindagi mein jab b ais waqt aajaye...,
Hamain b yaad ker laina..,
Tumharay ISHQ ka dawa tou..,
Hum b sada rkhtay hain...,
Hamain awaz dy laina...,
Hum apnay ISHQ ki
Sachayeyun ka Imtehaan tou lain..!!!

Mujh mein khushbu basi uss ki hai

Mujh mein khushbu basi uss ki hai...,
Jesay yeh zindagi ussi ki hai...,
Wo kaheen aas paas hai moujood...,
Hu ba hu yeh hansi ussi ki hai..,
Yaani koye kaami nahin uss mein.,
Yaani mujh mein kami ussi ki hai...,
Kya meray khawab b meray nahin...,
Kya meri neend b ussi ki hai...!!!

Janay se Pehlay

Janay se Pehlay
Aik raat meray naam ker daina..,
Meri goud mein apna sar rakhna..,
Aankhein band ker laina...,
Dekhnay dena apnay hr naqsh ko mujhay...,
Chunay ka haq b daina mujhy..,
Karoon mehsus apni dharknon mein
Saansain teri...,
Uss raat bohat c baatain kerna mujh se...,
Apnay seenay py sar rakh k ronay dena mujhay...,
Apnay honton k naqsh sabt kerna meray jism pr..,
Chehray py kat lena neshan dena apni Mohabbat ka...,
Phir seenay se laga laina mujhay
ISs qadr k Saans ruk jaye...,
Jatay waqt ek ehsaan kerna..,
BAs Zehr dy jana mujhay...!!!