Tuesday 16 October 2012

Tanhai ka dukh gahra tha

Tanhai ka dukh gahra tha
Main darya darya roya tha
Ik lehar na sambhli warna
Main tufaan se khela tha
Tanha ka tanha saya
Dar se mere sath lga tha
Chor gaye jb sarai sathi
Tanhai nai sath diya tha
Sookh gaye jb sukh ki dali
Tanhai ka phool khila tha
Tanhai main yad-e-Khuda thi

Comments :

0 comments to “Tanhai ka dukh gahra tha”

Post a Comment