Saturday 22 December 2012

Na kuch jamal ki baatain

Na kuch jamal ki baatain na kamal ka zikr...,
Tamam umer hi hota raha malal ka zikr..,
Hamaray apnay hi dushman py hum zuban hain kyun..,
Hr ek lab py hua hai meray sawal ka zikr..,
Jahan yeh baat b seedhi tarah na hoti ho..,
Wahan py kijiye kyun ker Shaab-e-wasal ka zikr...,
Munafqat ne jahan Aetbaar cheen liya...,
Wahan py kesi haqeeqat...kahan ma'al ka zikr..,
Jisay khud apni zara c khabar nahin rehti..,
Woh kis tarah se karay ga tere khayal ka zikr..,
Jo gharq ho gaye Aaseeyan ki be'karani mein...,
Unnhein bachaye ga khun ker faqt Zawal ka zikr...,
Hamari fikr..Hamaray hain rooz-o-shaab Qaidi...,
Abas hi kertay ho tum kyun yeh mah-o-saal ka zikr...,
Azeem Khak nasheen ho chuka...zamana hua...,
Na chero ab tou koye uss ki chaal dhaal ka zikr..!!!

Comments :

0 comments to “Na kuch jamal ki baatain ”

Post a Comment