Saturday 22 December 2012

Rehnay Do

Hum aah-o-fughan k aadi hain tum darkaar darmaan rehnay do...,
Hum chaak-e-geereban achay hain..bas chak-e-geereban rehnay do...,
Ek baat k dil se hat jaye ........... yeh raat k ab tou kat jaye..,
Aahon ko samaitay baithay hain masroof ghazal khawab rehnay do..,
Hain sab ka manatay sog yahan...hain kesay kesay log yahan...,
Haan in ko sukon se kya matlab..haan in ko pareshan rehnay do...,
Ek shor-o-gha hai basti mein...ek hashar bapa hai basti mein...,
Ab sham-e-ghareeban ghar ghar hai...tum shaam-e-ghareeban rehnay do...,
Waqt ka daman tham liya hai aqal se ab k kaam liya hai...,
Hai unn ko ta'ajub honay do...Angasht-ba-dandaan rehnay do...,
Ab saachi baatain kon likhay...yaan kesay kesay log bikay...,
Be'kar hai zikar-e-dar-o-san...yeh qissa-e-zindaan rehnay do...,
Yeh dard kahanai rehnay do...ashkon ki zubaani rehnay do...,
Mat behnay do in ashkon ko...yeh zeenat-e-massgaan rehnay do..!!!

Comments :

0 comments to “Rehnay Do”

Post a Comment