Friday 12 October 2012

Aaj aisa kertay hain

Guftugu K Lamhon Mein...
Dekh hi nahin patay...
Hm tumhray chehray ko...
Hm tumhari aankhon ko...,
Aaj aisa kertay hain...,
Chasm-0-lab ko parhtay hain...,
Baat chod detay hain...,
Janay kya lamha hoga...,
Jab yeh haath haathon se...,
Gar kabhi juda hoga...,
Aaj aisa kertay hain...,
Zabt-e-Jaan parakhtay hain...,
Haath chod detay hain...,
Kash koye samjha dy...,
Log kis tarah Dil ki...,
Manzilain alag ker k...,
Saath chod detay hain...,
Aaj aisa kertay hain...,
Be'sabab bikhrtay hain...,
Zaat tod detay hain..!!!!

Comments :

0 comments to “Aaj aisa kertay hain”

Post a Comment